ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر, ان کی تصویر سینے میں
Humne Aankhon Se Dekha Nahi Hai Magar Naat lyrics Urdu
Humne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Mgar Lyrics in Roman Urdu
Humne Aankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasweer Seenay Main Mojood Hai
Jisne La Kar Kalaam-e-Ilahi Diya
Woh Muhammad Madinay Main Mojood Hai
Phool Khiltay Hain Parh Parh Ke Sallay Alaa
Jhoom Kar Keh Rahi Hai Yeh Baad-e-Sabaa
Aisi Khushboo Chaman Ke Gullo’n Main Kahan
Jo Nabi Ke Pasinay Main Mojood Hai
Humne Maana Ke Jannat Bohat Hai Hasee’n
Chhor Kar Hum Madinah Na Jaae’n Kahee’n
Yu’n To Jannat Main Sab Hai, Madinah Nahi
Aur Jannat Madinay Main Mojood Hai
Chhorna Tera Taiba Gawara Nahi
Saaray Aalam Main Aisa Nazaraa Nahi
Aisa Manzar Zamanay Ne Dekha Nahi
Jaisa Manzar Madinay Main Mojood Hai
Woh Abu Bakr, Farooq, Usma’n, Ali
Hain Yeh Sab Unke Deen-e-Mubee’n Ke Faqeeh
Woh Faqeeho’n Ke Afsar Shah-e-Anbia
Woh Shehanshah Madinay Main Mojood Hai
Be Sahaaro’n Ko Seenay Se Lipta Liya
Jisne Jo Manga Usko Ataa Kar Diya
Woh Faqeero’n Ke Yawar Shah-e-Anbia
Woh Shehanshah Madinay Main Mojood Hai
This is a Naat sharif that praises Prophet Muhammad (PBUH) and talks about his special presence in Medina. It explains that even though we cannot see the Prophet with our eyes, his image and love live in the hearts of people. The poem describes the beauty of Medina and says that even paradise cannot compare to the honor of being in the city where the Prophet is. It also reminds us that Prophet Muhammad, who received God’s message, is a guide and leader for all spiritual teachers and saints, and his presence makes Medina special.